Pasand Ki Shadi Ka Wazifa
Pasand Ki Shadi Ka Wazifa

Pasand Ki Shadi Ka Wazifa | Wazaif For Marriage := Shadi Wazifa In Urdu Love Marriage Wazifa In Urdu Aaj ke is pur ashoob door main jis taraf nigah uthayain har shukhs musibat aur azmayesh main mubtala nazar ata hai musibat aur azmaesh kabhi tou batoor imtihan hoti hai aur kabhi batoor-e-sazaye amaal.

Insaan ki had se barhti khawahishat keh jin ki takmeel ke liye halaal aur haraam ki tameez ko balay-e-taaq rakh dena is musibat ki bunyadi wajah hai. Is ke ilawa Allah ki janib se ata shuda naimaton ko apna zati kamal aur zati khoobi janna aur phir us ke natijay main shukar guzari se ghaflat aur ghaflat ke baes faraiz aur wajbat ko tark kar dena musibat ki dusri wajah hai. Jub insan Allah ki na farmani main had se barhnay lagta hai tou woh tarah tarah ki problems ka shikar hona shuru ho jata hai. Kabhi usay business main bay barkati ki shikayat hoti hai aur kabhi ghar main bay sakooni ka samna karna parta hai, kabhi aulad ki na farmani preshan karti hai aur kabhi jawan betiyon ki ghar main mojodgi aur naik rishte ka door door tak nazar na ana aur maa baap ke liye ghar main sub se bari preshani aur fikar mandi bachyon ke liye munasib rishta milna hai.

Shadi Ka Wazifa Ki Ijazat aur Hidayaat**
Is post main darj shuda tamam marriage wazaif ki ijazat ke liye mandraja zail hidayaat par amal karna lazim hai.

5 waqt ki namaz ki pabandi
Zahir aur batni tamaam gunahon se parhez
Kasrat-e-Durood Salam
Sadqa aur khairat ki pabandi
Jo wazifa parha jaye sahi talafuz aur makharij se parhain
Jo tadad bayan ki jaye us ki pabandi aur muddat-e-amal ke liye ayaam ki pabandi
Dunyawi mamlaat ke muqablay main akharwi mamlaat ko tarjeh de.
1: Pasand Ki Shadi Ke Wazaif:

Jo larka ya larki pasand ki shadi karna chahain keh jis main us ke waldain razi hon magar samne wale razi na hotay hon tou is amal ko shuru karain. Insha’Allah 41 dinon main rishta ho jaye ga.

Parents Parhain:

Baad namaz-e-isha gayarah sau gayarah (1111) baar parhain:Ya Wadudu Ya Lateefu

Larka / Larki Khud Parhay:

Isha ki jub namaz parh lain tab parhain 1111 baarYa Jamiu
pehle aur baad main Darood Sharif parhain (parhtay waqt un ka tasawar rakhain)
Shadi ke liye Surah Taha ka wazifa**

Surah Taha ki ayat number 31 aur 32 ko likh kar bazu main bandh lain
aur is ke sath sath namaz-e-isha ke baad ba’wazu kahin paak jagah baith
kar sub se pehle aur akhir main Darood pak 11 times aur darmiyan main
1100 baar “Ya Lateefu”
Allah se khoob tawaja aur dhihan ke sath apni shadi ki dua karain tou
to Insha’Allah behtar aur pasandeeda rishta muyasir ho ga.

Wazifa Baraye Rishta**

Beti ka rishta na milnay ki sirat main ism mubarak “Ya Adlu” ka wird karain Insha’Allah Rub acha aur behtareen rishta anayat farmaye ga aur agar jahaiz ke mamlaat main preshani ho tou Allah Ta’ala asbab paida farmaye ga. Is ism mubarak ka wazifa karnay wale ki Allah Ta’ala betiyon ke naseeb samait dusre amoor main kafalat apne zumay lay lay ga.

Baad namaz-e-maghrib 2 rakat namaz nafal ada karain aur is wazifay ko waqt ki munasbat se 100, 300, ya phir 1000 baar parh kar dua kare aur Al-Mujeeb se apni hajat puri honay ka sawal kare tou jald hi Allah ki madad se jahaiz ke mamlaat main asani paida ho jaye gi. 11 – 11 baar awal akhir darood parhna na bhulain. (Muddat-e-amal ta husool-e-murad)

Naik Rishta Milne Ka Amal**

Agar koi larki shadi ke qabil ho aur koi munasib rishta na ata ho ya shadi main rukawat ho tou 21 baar rozana Surah Taha parhay. Behtar yehi hai ke fajar ki salat ke baad parhay aur 11 baar hi shuru main aur ikhtitam par Durood Ibrahimi parhay.
Larki Ki Shadi Main Rukawat**

Agar kisi larki ki shadi main rukawat ho ya kisi maloom ya na maloom wajah se kahin shadi na hoti ho tou woh Surah Al-Mumtahinah (Surat no 60) rozana 5 baar wazu kar ke parhay.

Jald Rishte Ke Liye**

Agar fori toor par naik rishte ki khawahish ho tou larki khud baad namaz-e-isha

11 hazar baar 11 din tak is tarah parhain ke jumairat se start kar ke itwar ko khatam kara.
Behtareen Amal Rishte Ka**

Naik munasib rishta ke liye ye amal intihai mosar hai. Chahiye ke safaid reshmi kapray par Surah Taha ba’wadu parh kar moom jamah kar ke larki ke galay main daal de tou Allah ne chaha tou bohat jald achay rishte ka paigham aye aur shadi ho jaye aur aulad bhi naik paida ho.

Shadi Ka Mujarab Amal**

Jis mard ya aurat ki shadi na hoti ho tou tamam kamon se farigh ho kar raat ko baad namaz-e-isha awwal 2 rakat nafal namaz shadi hone ki niyat se parhe aur baad Salam ke awwal aur akhir 11 times Darood Ibrahimi ke 41 baar Surah Al-Ikhlas parhay aur sirf shadi ki dua kare. Insha’Allah maqsad pura ho ga, amal ki muddat 90 din hai. Is arsay main agar mangni ya shadi ho jaye tab bhi 90 din pure karay, aurat nagha ke din shumar kar ke baad main pura kare.

Agar Mangni Ke Baad Shadi Main Rukawat Ho**

Agar kisi ki mangni ho chuki ho aur ab shadi main rukawatain paish arahi hon ya phir larke ya larki wale mangni tornay par amadah hon tou isha ki namaz ke baad 500 baar
“Ya Lateefu Ya Haleemu” parhay aur is se pehle aur phir baad main bhi 41 martaba Darood Shareef parhey. Insha’Allah 1 month ke andar andar jumla rukawatain door hon gi aur jald az jald shadi ho jaye gi.

note: parhte waqt larki ya larkay ke wirsa ka tasawar karain.

Betay / Beti Ki Achi Jagah Shadi Ke Liye**

Agar kisi shaks ke beta ya beti ki shadi na hoti aur woh chahe ke achi jagah aur jaldi shadi ho jaye tou teen sau terah (313) martaba isha namaz parh ke 21 days tak is Quranic verse (ayat) ko parhe aur jo bhi Darood yaad ho 11 – 11 baar parh lay aur bheech main Surah Yaseen ki 36 no ayat parhay jo keh ye hai.
Naik Biwi / Shohar Ke Husool Ke Liye**
Jis larkay ya larki ki khawahish ho keh us ka shareek-e-hayat naik aur parhezgar ho tou usay chahiye keh Surah Al Muzammil 11 jumairaat baad isha namaz 11 baar parh lay aur 11- 11 baar hi Darood parhay. Insha’Allah is amal ki barkat se naik shareek-e-hayat ki arzu puri ho gi.

Rishta Milne Ka Wird**

Hasool-e-rishta ke silsile main agar har taraf na umeedi ho chuki ho aur betiyon ke liye koi maqool rishta na mil raha ho tou waldah ya phir kisi hamdard aurat ko chahiye keh baad namaz-e-isha 2 rakat namaz-e-nafal ada karain aur har rakat main 11 baar Surah Ikhlas parhay salam phairnay ke baad Surah Yaseen sharif ko 7 mubeenon ke sath aik martaba parhay. Phir aik tasbeh “Ya Wadudu Ya Lateefu” ki parhay, 7 baar shuru kartay waqt aur khatam kartay waqt ye Durood Shareef parhay.

Agar Larka / Larki Razi Hon Magar…Agar koi pasand ki shadi karna chahta ho aur is silsile main waldain bay nayazi ka muzahira karain tou jaez aur halaal niyat se larka aur larki ye amal karain:
Asar ki namaz ke baad Darood Pak 11 baar pehle aur baad phir Surah Al-Asr 101 martaba aur end par apne jaez maqsad ke husool ke liye Allah ki bargah main dua karain. Insa’Allah is amal ki badolat waldain razi ho jayain gey aur un ki shadi kar dain gey (Amal mudat: 21 din).

Tanbiyah: Agar is muddat main koi waziha rah na milay tou sangeen qadam uthanay se guraiz karain aur Allah ki Rehmat par pura bharosa rakhain kyoun keh sara ilm sirf Khuda ki ke paas hai aur wohi behtar janta hai ke insan ke liye kya acha hai aur kya bura hai.Shadi Ka Taweez:
Agar koshish ke bawajod rishta na ata ho aur agar ata ho aur pasand kar ke chala jata ho tou Surah Al-Nahl ki shuru ki 16 Ayaat ba wazu paak aur saaf kaghaz par mashk aur zafran ba amr-e-majburi paak roshnai se likh kar larki ke galay main daal dain.

Jaldi Shadi Hone Ka Wazifa**

Agar kisi larkay ya larki ki shadi main bohat mushkilain hon aur kisi tarah se rishta tay na hota ho tou aisay main Asar ki namaz ke baad 21 – 21 times Darood (pehle aur baad) phir 1 baar buland awaz se Surah Al-Ahzab ki tilawat kare aur musalsal 11 din amal kare. Insha’Allah in 11 dinon main rishta ho jaye ga.

note: namaz ki pabandi shart hai……. ye amal khilwat (tanhai) main kare.

Pasand Ki Shadi Ho Kar Rahe**

Agar koi pasand ki shadi (love marriage) main masayel ka shikar ho aur apni pasand ki shadi ke elawa kahin aur shadi ka sawal hi paida na ho tou chahiye ke subah fajar ki namaz ke baad 786 martaba
parh kar Allah se apne maqsad ke liye dua kare. Ye wazifa shuru aur khatam karte waqt koi sa Durood 101 baar. Aur raat sotay waqt 300 baar

Ya Lateefu Ya Salamu parh kar dua kare aur shadi ka tasawar kar ke so jaye.Muddat Amal: 40 yoom hai. Insha’Allah isi arsay main pasand ki shadi ho jaye gi.
note: Namaz ki pabandi lazim hai aur is amal ka kisi par izhar na kare, baghair baat cheet kiye so jaye.

Agar Mangni Tootne Ka Khatra Ho:Agar Allah na kare ke larki ko talaq ho chuki ho aur waldain ki koshish ho keh kisi tarah dobarah us ka ghar bas jaye tou unhain chahiye ke baad namaz-e-fajar 2 martaba Surah Yaseen tilawat kare aur 1100 martaba “Ya Mueedu” ka wird kare. Insha’Allah 21 se 41 din ke musalsal amal se larki ke liye dobara acha rishta hasil ho jaye ga.

Shadi Karwane Ka Lajawab Amal**
Agar koi achi jagah naik rishtay ka khawahish mand ho aur bazahir koi munasib sabab na ban raha ho tou chahiye keh baroz-e-jummah baad namaz-e-asar ta maghrib masjid main baith kar ankhain band kar ke bay shumar parhay.

Ya Allahu Ya Rahmanu Ta Rahimu
Azan-e-maghrib par apne maqsad ke liye dua kare aur musalsal 3 ya 5 jumon tak jari rakhay. Insha’Allah bohat jald hi khawahish puri ho gi.

Mukhalif Fareeq Ko Shadi Par Amada Karne Ka Amal:Mukhalif fareeq ko razamand karne ke liye nahayat mujarab amal hai. Chahiye keh hasb-e-zaroorat lahori namak lekar us par baroz juma baad namaz jumma awal akhir 10 – 10 baar darood sharif ke 1001 baar Ya Wadudu parh kar dam karain aur khayal rahe keh namak zameen par hargiz hargiz na gire, bohat ahtiyat rakhi jaye jo usay khaye ga Insha’Allah matee aur farmabardar ho ga. Jis ki niyat se parha hai usi par asar ho ga aur agar dusre khayain tou bhi fayeda ho ga, apas main khilwat aur mohabbat paida ho gi.
note: Agar mukhalif fareeq ghar aye tab bhi is namak se fayeda hasil kiya ja sakta hai. (Mujarab hai)

Shadi Karwane Ka Akseer Amal**

Agar bohat sari koshishon ke baad bhi koi naik aur jaez rishta na milta ho aur umer barhti ja rahi ho tou aisay main chahiye keh namaz isha ke baad Surah Yaseen 3 baar parhay aur har dafa khatam par 700 martaba
Ya Wajidu Ya Mujeebu
parhay, is amal ko jumairat se shuru kare aur itwar ko khatam kare.

Larki Ki Shadi Ke Liye Jahaiz Ke Intizam Ka Wazifa**

Agar Shadi Main Jannat Rukawat Dalain Tou:Aksar dekha gaya hai ke naujawan larkiyon par jinnat ka asar ho jata hai keh jis ki wajah se larki ki kisi achi jagah baat cheet hotay hotay bigar jati hai aur woh shareer jin husool-e-rishtna main tarah tarah ki rukawatain paida karna shuru kar dete hain.
Is mushkil se khalasi ke liye darj zail main amal nahayat munasib hai. Baad namaz-e-isha larki ke parents main se koi Surah Al-Hashr ki akhri 3 Ayaat 100 baar pani par dam kar ke woh pani sara din istemal karwayain aur musalsal 21 din ye amal karain.
Insha’Allah is amal ki badolat tamam rukawatain door hon aur shareer jinnat se amaan hasil ho aur agar kisi naik shakhs se in Ayaat ko zafran wagera se likhwa kar larki ke galey main dale tou jald kamyabi ho aur bohat jald acha rishta milay. In 3 Ayaat main Allah ke mubarak 17 names bhi hain.

Qasida Burda Sharif Benefits:Agar har tarah ke haylon ke bawajod larki ke liye koi rishta na milay tou aisi surat main nau chandi shab-e-jumma ko baad namaz-e-isha Qasida Burda Sharif 17 baar parh kar larki ki shadi ke liye dua karain. Insha’Allah 7 jumon ke amal se larki ke liye zaroor koi acha rishta mil jaye ga.
Agar 1 fard tanha na parh sakay tou 3 afrad mil kar parhain. Parhne walon ka namazi parhezgar hona zaroori hai. (mujarab al mujarab hai).
Jis Mard Ki Shadi Na Hoti Ho
Jis mard ki shadi na hoti ho woh shuru mah main 3 din rozah rakhe aur raat main Surah Muzammil ko 21 martaba parhay. 3 mah ye amal barabar kare. Insha’Allah naik biwi naseeb ho gi.
note: Har Islamic month ke pehle 3 din ye amal karna hai sara mah amal nahin karna aur ye amal sirf mardon ke liye makhsoos nahin balkeh khawateen bhi kar sakti hain. Har mah amal karne se qabal khuch saqda zaroor ada kare.
Bay Saraha Bachiyon Ki Shadi Ke Liye

CONTACT PERSON : Aslam khan ji
CONTACT No. +91-9992027692
Email id:- aslambaba0786@gmail.com
Website :- https://ruhaniilmswazifa.wordpress.com/
Website :- http://vashikaranproblemstonatotka.blogspot.in/
Website :- https://powerfulwazifaforlove.wordpress.com/